main musafir saba ki rahon ka
maiñ musāfir sabā kī rāhoñ kā
bojh uThā.e hue gunāhoñ kā
ruuh kā zaḳhm ek tīkhī yaad
naqsh bhūlī huī nigāhoñ kā
shaam se sub.h tak pighaltī raat
silsila be sadā karāhoñ kā
kaale taḳhtoñ pe sar paTaktā din
ek mā'mūl dars-gāhoñ kā
zindagī to sharāb-ḳhāne kī
nuur chehre pe ḳhānqāhoñ kā
ek nashsha havas kī āñkhoñ meñ
ik tamāsha barahna bāñhoñ kā
narm narm uñgliyāñ havāoñ kī
khurdurā jism shāh-rāhoñ kā
tarz-e-iz.hār kā anokhā-pan
ek andāz kaj-kulāhoñ kā
mo'tabar shahr shahr meñ 'qaisar'
sach ḳharīde hue gavāhoñ kā
main musafir saba ki rahon ka
bojh uThae hue gunahon ka
ruh ka zaKHm ek tikhi yaad
naqsh bhuli hui nigahon ka
sham se subh tak pighalti raat
silsila be sada karahon ka
kale taKHton pe sar paTakta din
ek ma'mul dars-gahon ka
zindagi to sharab-KHane ki
nur chehre pe KHanqahon ka
ek nashsha hawas ki aankhon mein
ek tamasha barahna banhon ka
narm narm ungliyan hawaon ki
khurdura jism shah-rahon ka
tarz-e-izhaar ka anokha-pan
ek andaz kaj-kulahon ka
mo'tabar shahr shahr mein 'qaisar'
sach KHaride hue gawahon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.