main mutmain na hua tujhko gham suna ke bhi
maiñ mutma.in na huā tujh ko ġham sunā ke bhī
añdherā aur baḌhā hai diyā jalā ke bhī
qubūl karte hue dil taḌapne lagtā hai
ajiib hote haiñ kuchh faisle ḳhudā ke bhī
vo āsmān mirī dastaras meñ kyā aatā
hazār koshisheñ kiiñ eḌiyāñ uThā ke bhī
tujhe gale se lagā.eñ to jaañ nikaltī hai
asīr-e-jism haiñ lekin tirī hayā ke bhī
magar ye kyā ki parinde shajar se gir jaa.eñ
agarche hote haiñ kuchh fā.ede havā ke bhī
qafas kā qīmtī panchhī huuñ so ḳharīdte vaqt
mujhe uḌā ke bhī dekhā gayā girā ke bhī
nahīñ hai dasht faqat pyaas kā havāla 'adīl'
maiñ ro paḌā huuñ samundar ko aazmā ke bhī
main mutmain na hua tujh ko gham suna ke bhi
andhera aur baDha hai diya jala ke bhi
qubul karte hue dil taDapne lagta hai
ajib hote hain kuchh faisle KHuda ke bhi
wo aasman meri dastaras mein kya aata
hazar koshishen kin eDiyan uTha ke bhi
tujhe gale se lagaen to jaan nikalti hai
asir-e-jism hain lekin teri haya ke bhi
magar ye kya ki parinde shajar se gir jaen
agarche hote hain kuchh faede hawa ke bhi
qafas ka qimti panchhi hun so KHaridte waqt
mujhe uDa ke bhi dekha gaya gira ke bhi
nahin hai dasht faqat pyas ka hawala 'adil'
main ro paDa hun samundar ko aazma ke bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.