main na hunga kabhi tujhse but-e-ayyar juda
main na hunga kabhi tujhse but-e-ayyar juda
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
maiñ na hūñgā kabhī tujh se but-e-ayyār judā
aag patthar se nahīñ hone kī zinhār judā
hashr tak hoñge na kuffār se dīn-dār judā
kahīñ tasbīh se hotī nahīñ zunnār judā
farq zāhir hai jo kuchh tā.ir-o-insān meñ hai
ho na phir kabk se kyoñ yaar kī raftār judā
kis liye shaiḳh ko hai tarah-e-pur-pech pe naaz
sar se miinā ke bhī hotī nahīñ dastār judā
niiñd meñ daulat-e-dīdār huī mujh ko nasīb
ḳhvāb ke hote haiñ kyā dīda-e-bedār judā
koī nisbat nahīñ yūsuf ko mire dilbar se
us kā bāzār judā us ke ḳharīdār judā
faisla kyā ho do amle meñ phañse haiñ aa kar
hai ḳhafā maut judā yaar hai bezār judā
vāsta but se na ham ko na ḳhudā se matlab
maz.hab-e-rind judā millat-e-dīñ-dār judā
qatl ko mere parī-rū mizha-o-abrū kī
barchhī rakhte haiñ alag hotī hai talvār judā
tafraqa ho jasad-o-rūh meñ parvāh nahīñ
ho na āshiq se ye ma.ashūq-e-tarahdār judā
in hasīnoñ pe mare ḳhalq na kyūñkar 'tālib'
sehr-e-guftār judā aur tarahdār judā
main na hunga kabhi tujh se but-e-ayyar juda
aag patthar se nahin hone ki zinhaar juda
hashr tak honge na kuffar se din-dar juda
kahin tasbih se hoti nahin zunnar juda
farq zahir hai jo kuchh tair-o-insan mein hai
ho na phir kabk se kyon yar ki raftar juda
kis liye shaiKH ko hai tarah-e-pur-pech pe naz
sar se mina ke bhi hoti nahin dastar juda
nind mein daulat-e-didar hui mujh ko nasib
KHwab ke hote hain kya dida-e-bedar juda
koi nisbat nahin yusuf ko mere dilbar se
us ka bazar juda us ke KHaridar juda
faisla kya ho do amle mein phanse hain aa kar
hai KHafa maut juda yar hai bezar juda
wasta but se na hum ko na KHuda se matlab
mazhab-e-rind juda millat-e-din-dar juda
qatl ko mere pari-ru mizha-o-abru ki
barchhi rakhte hain alag hoti hai talwar juda
tafraqa ho jasad-o-ruh mein parwah nahin
ho na aashiq se ye mashuq-e-tarahdar juda
in hasinon pe mare KHalq na kyunkar 'talib'
sehr-e-guftar juda aur tarahdar juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.