main nae azm-e-safar se nikla
maiñ na.e azm-e-safar se niklā
sar pe sūraj liye ghar se niklā
sang-dil shaḳhs ke aañsū dekhe
mom patthar ke jigar se niklā
is havelī se ki is gumbad se
dekhnā chāñd kidhar se niklā
ek to ḳhud hī ḳhabar thī jāñ-soz
phir vo matlab jo ḳhabar se niklā
āmne-sāmne the dair-o-haram
maiñ bahut bach ke udhar se niklā
dushman-o-dost ko pahchān liyā
buuñd bhar ḳhuun to sar se niklā
main nae azm-e-safar se nikla
sar pe suraj liye ghar se nikla
sang-dil shaKHs ke aansu dekhe
mom patthar ke jigar se nikla
is haweli se ki is gumbad se
dekhna chand kidhar se nikla
ek to KHud hi KHabar thi jaan-soz
phir wo matlab jo KHabar se nikla
aamne-samne the dair-o-haram
main bahut bach ke udhar se nikla
dushman-o-dost ko pahchan liya
bund bhar KHun to sar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.