maiñ nafratoñ kī vo had karūñgī
kuchh aise tum ko maiñ radd karūñgī
bhulā ke rakh dūñgī tujh ko dil se
divāngī kī vo had karūñgī
tire sitam se ye tai kiyā hai
judā.ī terī sanad karūñgī
maiñ dafn kar dūñgī terī yādeñ
tujhe maiñ yuuñ mustarad karūñgī
duā.eñ māñgī thiiñ jo 'duā' meñ
duā.eñ saarī vo radd karūñgī
main nafraton ki wo had karungi
kuchh aise tum ko main radd karungi
bhula ke rakh dungi tujh ko dil se
diwangi ki wo had karungi
tere sitam se ye tai kiya hai
judai teri sanad karungi
main dafn kar dungi teri yaaden
tujhe main yun mustarad karungi
duaen mangi thin jo 'dua' mein
duaen sari wo radd karungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.