main nahin baiTh ke ashkon ko bahane wala
maiñ nahīñ baiTh ke ashkoñ ko bahāne vaalā
maiñ huuñ tadbīr se taqdīr banāne vaalā
aise anjām se ham sab ko sabaq lenā hai
jal gayā aag meñ ḳhud aag lagāne vaalā
zaḳhm khā kar bhī parinda na rukā uḌtā rahā
haath maltā hī rahā tiir chalāne vaalā
us ke ehsān se allāh bachā.e mujh ko
kitnā kam-zarf hai ehsān batāne vaalā
TūTnā lafz hī mujh par hai qayāmat jaisā
maiñ huuñ miTTī ke khilaunoñ ko banāne vaalā
kaise jiitā hai zarā soch ke dekho to 'adīb'
apne ehsās ko siine meñ dabāne vaalā
main nahin baiTh ke ashkon ko bahane wala
main hun tadbir se taqdir banane wala
aise anjam se hum sab ko sabaq lena hai
jal gaya aag mein KHud aag lagane wala
zaKHm kha kar bhi parinda na ruka uDta raha
hath malta hi raha tir chalane wala
us ke ehsan se allah bachae mujh ko
kitna kam-zarf hai ehsan batane wala
TuTna lafz hi mujh par hai qayamat jaisa
main hun miTTi ke khilaunon ko banane wala
kaise jita hai zara soch ke dekho to 'adib'
apne ehsas ko sine mein dabane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.