Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal

Saqib Lakhnavi

main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    maiñ nahīñ kahtā ki duniyā ko badal kar raah chal

    ḳhaar haiñ pairāhan-e-gul meñ sañbhal kar raah chal

    duur hai mulk-e-'adam aur tujh meñ dam baaqī nahīñ

    ho sake to bas yūñhī karvaT badal kar raah chal

    tālib-e-manzil hai phir uzlat-nashīnī kis liye

    rah-ravoñ ko dekh le ghar se nikal kar raah chal

    kū-e-jānāñ meñ zamāna ho gayā rote hue

    tā-kujā dil ta.assuf haath mal kar raah chal

    yuuñ rasā.ī tā-sahar mumkin nahīñ ai dil magar

    sham' sūrat shab-e-ġham meñ pighal kar raah chal

    main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal

    KHar hain pairahan-e-gul mein sanbhal kar rah chal

    dur hai mulk-e-'adam aur tujh mein dam baqi nahin

    ho sake to bas yunhi karwaT badal kar rah chal

    talib-e-manzil hai phir uzlat-nashini kis liye

    rah-rawon ko dekh le ghar se nikal kar rah chal

    ku-e-jaanan mein zamana ho gaya rote hue

    ta-kuja dil ka tassuf hath mal kar rah chal

    yun rasai ta-sahar mumkin nahin ai dil magar

    sham' ki surat shab-e-gham mein pighal kar rah chal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now