main nahin kahta ki har mushkil meri aasan ho
maiñ nahīñ kahtā ki har mushkil mirī āsān ho
rāstā hamvār hone kā koī imkān ho
is numā.ish ke zamāna kā yahī dastūr hai
kuchh na ho mazmūn meñ lekin nayā 'unvān ho
raushnī āñkhoñ kī jaa.e yā ke mujh ko maut aa.e
jo bhī honā ho vo terī diid ke daurān ho
dard ho ārām ho yā zahr ho yā phir davā
zindagī kā yā hamārī maut kā sāmān ho
maiñ kisī bhī aadmī kī bad-du'ā letā nahīñ
kaun jaane kab kahāñ kis shakl meñ bhagvān ho
main nahin kahta ki har mushkil meri aasan ho
rasta hamwar hone ka koi imkan ho
is numaish ke zamana ka yahi dastur hai
kuchh na ho mazmun mein lekin naya 'unwan ho
raushni aankhon ki jae ya ke mujh ko maut aae
jo bhi hona ho wo teri did ke dauran ho
dard ho aaram ho ya zahr ho ya phir dawa
zindagi ka ya hamari maut ka saman ho
main kisi bhi aadmi ki bad-du'a leta nahin
kaun jaane kab kahan kis shakl mein bhagwan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.