main nahin kahta mujhe auron se behtar chahiye
maiñ nahīñ kahtā mujhe auroñ se behtar chāhiye
mujh ko jitnī hai zarūrat utnī chādar chāhiye
haiñ pareshāñ is liye bhī log apnī pyaas se
pyaas kī ḳhātir sabhī ko ik samundar chāhiye
muddatoñ bhaTke haiñ mere ḳhvāb saare dar-ba-dar
be-gharoñ ko sar chhupāne ke liye ghar chāhiye
ghūmnā phirnā agar hotā to duniyā hai paḌī
ik jagah rahne ko tere dil ke andar chāhiye
ishq meñ dil kī amīrī kaam aatī hai magar
vo mohabbat kyā kareñge jin ko gauhar chāhiye
chaar din kī chāñdnī se zindagī kaTtī nahīñ
chāñdnī to ham sabhī ko zindagī bhar chāhiye
ye kahāñ kī riit hai jab man kiyā to mil liye
chāhiye terī mohabbat aur aksar chāhiye
main nahin kahta mujhe auron se behtar chahiye
mujh ko jitni hai zarurat utni chadar chahiye
hain pareshan is liye bhi log apni pyas se
pyas ki KHatir sabhi ko ek samundar chahiye
muddaton bhaTke hain mere KHwab sare dar-ba-dar
be-gharon ko sar chhupane ke liye ghar chahiye
ghumna phirna agar hota to duniya hai paDi
ek jagah rahne ko tere dil ke andar chahiye
ishq mein dil ki amiri kaam aati hai magar
wo mohabbat kya karenge jin ko gauhar chahiye
chaar din ki chandni se zindagi kaTti nahin
chandni to hum sabhi ko zindagi bhar chahiye
ye kahan ki rit hai jab man kiya to mil liye
chahiye teri mohabbat aur aksar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.