main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye
maiñ nahīñ kahtī mujhe koī ḳhazāna chāhiye
iltijā itnī hai ulfat jāvedāna chāhiye
aish-o-ishrat ke binā bhī kaam chal saktā hai jī
chhat to sab ko chāhiye aur āb-o-dānā chāhiye
ishq merā jis meñ mahke ai mire rabb-e-karīm
mujh ko jannat se alag vo āshiyānā chāhiye
is shikāyat ko mirī tū duur kar saktā hai kyā
vaqt terā chāhiye aur vālihāna chāhiye
rab ko paane kī jo hasrat hai to is ke vāste
dil nazar aur be-niyāzī ārifāna chāhiye
ham-safar māñgā thā maiñ ne ġham diye tū ne mujhe
ab talab ye hai ke ġham kā ik zamāna chāhiye
dil nazar kyā ruuh tak rang-e-tasavvuf chhā gayā
ab ġhazal bhī mujh ko maulā sūfiyāna chāhiye
hijr terā de hī degā maut ik din 'sapnā' ko
zindagī jiine kā lekin ik bahāna chāhiye
main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye
iltija itni hai ulfat jawedana chahiye
aish-o-ishrat ke bina bhi kaam chal sakta hai ji
chhat to sab ko chahiye aur aab-o-dana chahiye
ishq mera jis mein mahke ai mere rabb-e-karim
mujh ko jannat se alag wo aashiyana chahiye
is shikayat ko meri tu dur kar sakta hai kya
waqt tera chahiye aur walihana chahiye
rab ko pane ki jo hasrat hai to is ke waste
dil nazar aur be-niyazi aarifana chahiye
ham-safar manga tha main ne gham diye tu ne mujhe
ab talab ye hai ke gham ka ek zamana chahiye
dil nazar kya ruh tak rang-e-tasawwuf chha gaya
ab ghazal bhi mujh ko maula sufiyana chahiye
hijr tera de hi dega maut ek din 'sapna' ko
zindagi jine ka lekin ek bahana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.