main nahin tha ratjagon mein kaun tha mere siwa
maiñ nahīñ thā ratjagoñ meñ kaun thā mere sivā
saath mere vahshatoñ meñ kaun thā mere sivā
ik zamāne meñ huā kartā hai gautam ek hī
dūsrā phir jañgaloñ meñ kaun thā mere sivā
haat vo kis ke the jo mere gale tak aa ga.e
mere jaisā dostoñ meñ kaun thā mere sivā
tum to ḳhud apnī tajallī hī meñ the kho.e hue
aks-dar-aks ā.inoñ meñ kaun thā mere sivā
kis ne mere naam par apnī siyāhī pher dī
mujh se pahle madrasoñ meñ kaun thā mere sivā
kaun uksātā rahā thā sher-goī par mujhe
maujzan merī ragoñ meñ kaun thā mere sivā
paas aate mausamoñ meñ kaun thā mahv-e-ḳhirām
duur hotī āhaToñ meñ kaun thā mere sivā
maiñ to lab-basta thā phir vo chīḳh kaisī thī 'munīr'
raat merī Thokaroñ meñ kaun thā mere sivā
main nahin tha ratjagon mein kaun tha mere siwa
sath mere wahshaton mein kaun tha mere siwa
ek zamane mein hua karta hai gautam ek hi
dusra phir jangalon mein kaun tha mere siwa
hat wo kis ke the jo mere gale tak aa gae
mere jaisa doston mein kaun tha mere siwa
tum to KHud apni tajalli hi mein the khoe hue
aks-dar-aks aainon mein kaun tha mere siwa
kis ne mere nam par apni siyahi pher di
mujh se pahle madrason mein kaun tha mere siwa
kaun uksata raha tha sher-goi par mujhe
maujzan meri ragon mein kaun tha mere siwa
pas aate mausamon mein kaun tha mahw-e-KHiram
dur hoti aahaTon mein kaun tha mere siwa
main to lab-basta tha phir wo chiKH kaisi thi 'munir'
raat meri Thokaron mein kaun tha mere siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.