main naqsh-e-ma-o-man hota ki naqsh-e-ma-siwa hota
maiñ naqsh-e-mā-o-man hotā ki naqsh-e-mā-sivā hotā
jo pahle se ḳhabar hotī ki kyā hotā to kyā hotā
mirī hastī kā nuqta gar na naqsh-e-mā-sivā hotā
azal kī ibtidā hotā abad kī intihā hotā
samajh le rāh-e-ulfat meñ kuchh aisī hī paḌī varna
na dil mujh se judā hotā na maiñ dil se judā hotā
banī jo kuchh banī ham par magar phir bhī ye hasrat hai
ki pahlū dil meñ hotā aur dil meñ mudda.ā hotā
ye aalam thā kabhī dil kā mire josh-e-taḳhayyul se
jo naqsha aañkh meñ phirtā vahī merā ḳhudā hotā
fazā ke zarre zarre meñ tamavvuj hai talātum hai
asar dard-āfrīñ dil kī sadā meñ aur kyā hotā
ḳhayāl-e-hastī-e-mauhūm aafat hai qayāmat hai
ki hone par burā Thahrā na hotā to burā hotā
na aglī sī ḳhalish hai ab na vo pichhlī sī kāvish hai
ulūhī qalb meñ ḳhār-e-tamannā rah gayā hotā
ye manzar majma.a-e-mahshar kā aur mahrūm hai 'beḳhud'
ḳhudāyā parda-e-josh-e-tamannā uTh gayā hotā
main naqsh-e-ma-o-man hota ki naqsh-e-ma-siwa hota
jo pahle se KHabar hoti ki kya hota to kya hota
meri hasti ka nuqta gar na naqsh-e-ma-siwa hota
azal ki ibtida hota abad ki intiha hota
samajh le rah-e-ulfat mein kuchh aisi hi paDi warna
na dil mujh se juda hota na main dil se juda hota
bani jo kuchh bani hum par magar phir bhi ye hasrat hai
ki pahlu dil mein hota aur dil mein muddaa hota
ye aalam tha kabhi dil ka mere josh-e-taKHayyul se
jo naqsha aankh mein phirta wahi mera KHuda hota
faza ke zarre zarre mein tamawwuj hai talatum hai
asar dard-afrin dil ki sada mein aur kya hota
KHayal-e-hasti-e-mauhum aafat hai qayamat hai
ki hone par bura Thahra na hota to bura hota
na agli si KHalish hai ab na wo pichhli si kawish hai
uluhi qalb mein KHar-e-tamanna rah gaya hota
ye manzar majma-e-mahshar ka aur mahrum hai 'beKHud'
KHudaya parda-e-josh-e-tamanna uTh gaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.