main nashat-e-dard ko bar bar pukarna nahin chahta
maiñ nashāt-e-dard ko baar baar pukārnā nahīñ chāhtā
jo guzar rahī haiñ ye sā.ateñ ye guzārnā nahīñ chāhtā
yahī bikhrī bikhrī sī kā.enāt abhī to merā jahān hai
abhī apnī zulf-e-ḳhayāl ko maiñ sañvārnā nahīñ chāhtā
abhī dhuñdle dhuñdle nuqūsh meñ koī chāñdnī hai ravāñ davāñ
abhī chehra-e-pas-e-zulf ko maiñ ubhārnā nahīñ chāhtā
ajab uljhaneñ haiñ qadam qadam pas-e-ishq bhī sar-e-aql bhī
koī jītnā nahīñ chāhtā koī hārnā nahīñ chāhtā
main nashat-e-dard ko bar bar pukarna nahin chahta
jo guzar rahi hain ye saaten ye guzarna nahin chahta
yahi bikhri bikhri si kaenat abhi to mera jahan hai
abhi apni zulf-e-KHayal ko main sanwarna nahin chahta
abhi dhundle dhundle nuqush mein koi chandni hai rawan dawan
abhi chehra-e-pas-e-zulf ko main ubhaarna nahin chahta
ajab uljhanen hain qadam qadam pas-e-ishq bhi sar-e-aql bhi
koi jitna nahin chahta koi haarna nahin chahta
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 42)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.