maine chup-chap sun liya KHud ko
maiñ ne chup-chāp sun liyā ḳhud ko
muddatoñ baa'd kuchh kahā ḳhud ko
shakl pahchān meñ nahīñ aa.ī
ġhaur se dekhnā paḌā ḳhud ko
mujh ko taklīf hī nahīñ hotī
shāyad ab hijr khā gayā ḳhud ko
kuchh dinoñ pahle mujh se miltā thā
ab to vo mil nahīñ rahā ḳhud ko
aaj maiñ aa ga.ī huuñ dekhtī huuñ
tū kahāñ hai zarā bulā ḳhud ko
us se to baat ho nahīñ paa.ī
jo bhī kahnā thā kah diyā ḳhud ko
dekh mahfūz rah mohabbat se
merī nazroñ meñ mat girā ḳhud ko
main ne chup-chap sun liya KHud ko
muddaton ba'd kuchh kaha KHud ko
shakl pahchan mein nahin aai
ghaur se dekhna paDa KHud ko
mujh ko taklif hi nahin hoti
shayad ab hijr kha gaya KHud ko
kuchh dinon pahle mujh se milta tha
ab to wo mil nahin raha KHud ko
aaj main aa gai hun dekhti hun
tu kahan hai zara bula KHud ko
us se to baat ho nahin pai
jo bhi kahna tha kah diya KHud ko
dekh mahfuz rah mohabbat se
meri nazron mein mat gira KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.