maine dekha nahin hindu ya musalman ho tum
maiñ ne dekhā nahīñ hindū yā musalmān ho tum
haañ faqat itnā hai dekhā ki ik insān ho tum
bas tirī hī to mohabbat meñ likhī hai maiñ ne
merī is pahlī ġhazal kā bhī to unvān ho tum
tere dil meñ maiñ nahīñ par mire dil meñ tum ho
tum pe sau jaan se qurbān mirī jaan ho tum
terī āñkhoñ ke samundar meñ maiñ Dūbūñgā nahīñ
mujh ko mālūm hai ye merī nigahbān ho tum
gar mohabbat se kahogī to chalā jā.ūñgā
itnī sī baat hai kyoñ itnā pareshān ho tum
ek hī zaat ne ham sab ko banāyā hai 'turāb'
aisā lagtā hai ki is baat se anjān ho tum
main ne dekha nahin hindu ya musalman ho tum
han faqat itna hai dekha ki ek insan ho tum
bas teri hi to mohabbat mein likhi hai main ne
meri is pahli ghazal ka bhi to unwan ho tum
tere dil mein main nahin par mere dil mein tum ho
tum pe sau jaan se qurban meri jaan ho tum
teri aankhon ke samundar mein main Dubunga nahin
mujh ko malum hai ye meri nigahban ho tum
gar mohabbat se kahogi to chala jaunga
itni si baat hai kyon itna pareshan ho tum
ek hi zat ne hum sab ko banaya hai 'turab'
aisa lagta hai ki is baat se anjaan ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.