maine dhaDkan suni shajar ki raat
maiñ ne dhaḌkan sunī shajar kī raat
niiñd pattoñ ne be-ḳhatar kī raat
us ne ruḳhsat kabhī na lenī thī
vo bhī maarā gayā safar kī raat
bhauñktī rahtī hai sitāroñ par
mere andar kisī khañDar kī raat
maiñ ne dīvāngī meñ phāḌe hue
ḳhema-e-ḳhāk meñ basar kī raat
din to lekin kā Dhal gayā sāhab
sāmne hai agar magar kī raat
maiñ huuñ sayyāra-e-falak bezār
mujh meñ din hai kahāñ kidhar kī raat
kholte laave par guzārī hai
ek bujhte hue sharar kī raat
sunī dastak 'shafaq' na ḳhvāboñ kī
haa.e mujh shaḳhs-e-be-ḳhabar kī raat
main ne dhaDkan suni shajar ki raat
nind patton ne be-KHatar ki raat
us ne ruKHsat kabhi na leni thi
wo bhi mara gaya safar ki raat
bhaunkti rahti hai sitaron par
mere andar kisi khanDar ki raat
main ne diwangi mein phaDe hue
KHema-e-KHak mein basar ki raat
din to lekin ka Dhal gaya sahab
samne hai agar magar ki raat
main hun sayyara-e-falak bezar
mujh mein din hai kahan kidhar ki raat
kholte lawe par guzari hai
ek bujhte hue sharar ki raat
suni dastak 'shafaq' na KHwabon ki
hae mujh shaKHs-e-be-KHabar ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.