Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai

Afzal Parvez

maine dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai

Afzal Parvez

MORE BYAfzal Parvez

    maiñ ne dil-e-be-tāb pe jo jabr kiyā hai

    ḳhuuñ ho ke merī āñkhoñ se ab chhūT bahā hai

    jis ko kisī aazar ne hai patthar se tarāshā

    ab shūmī-e-taqdīr se vo merā ḳhudā hai

    us ke sitam-o-jaur ehsās kise ho

    us shoḳh sūrat baḌī hosh-rubā hai

    mujh bekas-o-āvāra phir aa ga.ī shāmat

    suntā huuñ ki bastī meñ kahīñ qatl huā hai

    tum un ko sazā kyuuñ nahīñ dete ki jinhoñ ne

    mujrim zamīr aur sukūñ luuT liyā hai

    ab da.avā-e-insāf auqāt khulegī

    ḳhud shaiḳh mire shahr muḳhtār banā hai

    main ne dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai

    KHun ho ke meri aankhon se ab chhuT baha hai

    jis ko kisi aazar ne hai patthar se tarasha

    ab shumi-e-taqdir se wo mera KHuda hai

    us ke sitam-o-jaur ka ehsas kise ho

    us shoKH ki surat hi baDi hosh-ruba hai

    mujh bekas-o-awara ki phir aa gai shamat

    sunta hun ki basti mein kahin qatl hua hai

    tum un ko saza kyun nahin dete ki jinhon ne

    mujrim ka zamir aur sukun luT liya hai

    ab dawa-e-insaf ki auqat khulegi

    KHud shaiKH mere shahr ka muKHtar bana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now