maine duniya mein faqat dekhe hain jaane wale
maine duniya mein faqat dekhe hain jaane wale
Faisal Imtiyaz Khan
MORE BYFaisal Imtiyaz Khan
maiñ ne duniyā meñ faqat dekhe haiñ jaane vaale
maiñ ne dekhe hī nahīñ haiñ kabhī aane vaale
rote rote mire dil se jo sadā aatī hai
rone lag jaate haiñ phir mujh ko manāne vaale
jab koī chhoḌ ke jaatā hai to dil kahtā hai
kyā kabhī lauT ke aate haiñ ye jaane vaale
ham jo be-ghar haiñ hameñ ḳhuub samajh aatā hai
kis nazar se hameñ takte haiñ Thikāne vaale
baaqī rahtā nahīñ hai kuchh bhī sivā-e-ġham ke
raakh tak luuT ke lete haiñ jalāne vaale
roz-o-shab maar diyā jaatā hai 'faisal' ham ko
chain se jiine nahīñ dete zamāne vaale
main ne duniya mein faqat dekhe hain jaane wale
main ne dekhe hi nahin hain kabhi aane wale
rote rote mere dil se jo sada aati hai
rone lag jate hain phir mujh ko manane wale
jab koi chhoD ke jata hai to dil kahta hai
kya kabhi lauT ke aate hain ye jaane wale
hum jo be-ghar hain hamein KHub samajh aata hai
kis nazar se hamein takte hain Thikane wale
baqi rahta nahin hai kuchh bhi siwa-e-gham ke
rakh tak luT ke lete hain jalane wale
roz-o-shab mar diya jata hai 'faisal' hum ko
chain se jine nahin dete zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.