maine hathon mein kuchh nahin rakkha
maiñ ne hāthoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
aisī bātoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
ik sivā tere dard ke maiñ ne
apnī āñkhoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
merī rātoñ kā pūchhte kyā ho
merī rātoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
ik tasallī sī hai 'ravish' varna
rishte-nātoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā
main ne hathon mein kuchh nahin rakkha
aisi baaton mein kuchh nahin rakkha
ek siwa tere dard ke main ne
apni aankhon mein kuchh nahin rakkha
meri raaton ka puchhte kya ho
meri raaton mein kuchh nahin rakkha
ek tasalli si hai 'rawish' warna
rishte-naton mein kuchh nahin rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.