maine har gam pe dhoke khae
maiñ ne har gaam pe dhoke khaa.e
mujh ko chehre nahīñ paḌhne aa.e
phir tirī yaad kā sūraj chamkā
phir gurezāñ hue mujh se saa.e
maiñ ne ḳhushiyoñ pe kiye haiñ mahmūl
justujū meñ jo tirī ġham paa.e
jin ke qad misra.a-e-mauzūñ Thahre
bas vahī jān-e-ġhazal kahlā.e
zabt-e-iz.hār ko tarse 'nusrat'
ḳhuun jazbāt kā hotā jaa.e
main ne har gam pe dhoke khae
mujh ko chehre nahin paDhne aae
phir teri yaad ka suraj chamka
phir gurezan hue mujh se sae
main ne KHushiyon pe kiye hain mahmul
justuju mein jo teri gham pae
jin ke qad misra-e-mauzun Thahre
bas wahi jaan-e-ghazal kahlae
zabt-e-izhaar ko tarse 'nusrat'
KHun jazbaat ka hota jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.