maine har zaiche mein dekha hai
maine har zaiche mein dekha hai
Faizan Jaffery Al-Khwarzami
MORE BYFaizan Jaffery Al-Khwarzami
maiñ ne har zā.iche meñ dekhā hai
tū mirī zindagī kī rekhā hai
baat kaḌvī hai us kī jis ne bhī
zā.iqa zindagī kā chakkhā hai
us ne zarrīñ libās ke mānind
mujh ko khūñTī se Taañg rakkhā hai
ik musāfir ke sabr-o-himmat ne
rāstoñ manziloñ ko parkhā hai
us kī zulfoñ ne khelnā uḌnā
mauj-e-bād-e-sabā se sīkhā hai
husn kā ek mas.ala ye hai
us kā lahja bahut hī tīkhā hai
main ne har zaiche mein dekha hai
tu meri zindagi ki rekha hai
baat kaDwi hai us ki jis ne bhi
zaiqa zindagi ka chakkha hai
us ne zarrin libas ke manind
mujh ko khunTi se Tang rakkha hai
ek musafir ke sabr-o-himmat ne
raston manzilon ko parkha hai
us ki zulfon ne khelna uDna
mauj-e-baad-e-saba se sikha hai
husn ka ek masala ye hai
us ka lahja bahut hi tikha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.