maine ek KHwab kya suna Dala
maiñ ne ik ḳhvāb kyā sunā Daalā
bhā.iyoñ ne kueñ meñ jā Daalā
yaar tum bhī ajab madārī ho
saañp rassī ko hai banā Daalā
aisī chaa.e kabhī na pī maiñ ne
sach batā tū ne is meñ kyā Daalā
aañkh bhar ke jab us ne dekhā to
zard mausam meñ dil khulā Daalā
bas vo nekī savāb bantī hai
dosh-e-dariyā jise bahā Daalā
maiñ kahīñ lāpata na huuñ jā.ūñ
tū ne kis khoj meñ lagā Daalā
koī samjhegā yā nahīñ 'arshad'
jo sunānā thā vo sunā Daalā
main ne ek KHwab kya suna Dala
bhaiyon ne kuen mein ja Dala
yar tum bhi ajab madari ho
sanp rassi ko hai bana Dala
aisi chae kabhi na pi main ne
sach bata tu ne is mein kya Dala
aankh bhar ke jab us ne dekha to
zard mausam mein dil khula Dala
bas wo neki sawab banti hai
dosh-e-dariya jise baha Dala
main kahin lapata na hun jaun
tu ne kis khoj mein laga Dala
koi samjhega ya nahin 'arshad'
jo sunana tha wo suna Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.