maine ek silsila banaya hai
maiñ ne ik silsila banāyā hai
ḳhud se rishta nayā banāyā hai
kuchh lakīreñ idhar udhar kar ke
sochtā huuñ ki kyā banāyā hai
jis kī vus.at kī had nahīñ mahdūd
dil ne vo dā.era banāyā hai
kuchh kashish bhī rahe mohabbat meñ
is liye fāsla banāyā hai
chiir kar raat ke pahāḌoñ ko
sub.h kā rāsta banāyā hai
kuchh na kah kar bhī kah diyā sab kuchh
ḳhāmushī ko sadā banāyā hai
ho ke gumrāh aql se 'sālim'
dil ko sab rahnumā banāyā hai
main ne ek silsila banaya hai
KHud se rishta naya banaya hai
kuchh lakiren idhar udhar kar ke
sochta hun ki kya banaya hai
jis ki wusat ki had nahin mahdud
dil ne wo daera banaya hai
kuchh kashish bhi rahe mohabbat mein
is liye fasla banaya hai
chir kar raat ke pahaDon ko
subh ka rasta banaya hai
kuchh na kah kar bhi kah diya sab kuchh
KHamushi ko sada banaya hai
ho ke gumrah aql se 'salim'
dil ko sab rahnuma banaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.