maine is taur se aankhon mein basae ruKHsar
maiñ ne is taur se āñkhoñ meñ basā.e ruḳhsār
maiñ ne jis samt nazar kī nazar aa.e ruḳhsār
rū-ba-rū ho ke musavvir ne mirī āñkhoñ meñ
ik nazar dekh ke kāġhaz pe banā.e ruḳhsār
qalb-e-muztar ko milā chain bharī mahfil meñ
us ne chilman ko haTā kar jo dikhā.e ruḳhsār
lafz ghabrāte hue kilk se bāhar nikle
haa.e tahrīr kī jis vaqt sanā-e-ruḳhsār
gesū-e-yār ne is vāste pahrā rakkhā
koī anjān bashar dekh na paa.e ruḳhsār
jab kabhī ashkoñ kī bārish meñ nahā.e ruḳhsār
lab se niklā mire be-sāḳhta haa.e ruḳhsār
apne ruḳhsār talak lab nahīñ jaate mere
jī meñ aatā hai ki chūmūñ maiñ parā.e ruḳhsār
ek lamhe ke liye zulfeñ haTī thiiñ 'mehvar'
chashm-e-bātin meñ huī qaid adā-e-ruḳhsār
main ne is taur se aankhon mein basae ruKHsar
main ne jis samt nazar ki nazar aae ruKHsar
ru-ba-ru ho ke musawwir ne meri aankhon mein
ek nazar dekh ke kaghaz pe banae ruKHsar
qalb-e-muztar ko mila chain bhari mahfil mein
us ne chilman ko haTa kar jo dikhae ruKHsar
lafz ghabraate hue kilk se bahar nikle
hae tahrir ki jis waqt sana-e-ruKHsar
gesu-e-yar ne is waste pahra rakkha
koi anjaan bashar dekh na pae ruKHsar
jab kabhi ashkon ki barish mein nahae ruKHsar
lab se nikla mere be-saKHta hae ruKHsar
apne ruKHsar talak lab nahin jate mere
ji mein aata hai ki chumun main parae ruKHsar
ek lamhe ke liye zulfen haTi thin 'mehwar'
chashm-e-baatin mein hui qaid ada-e-ruKHsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.