maine jab us se kaha dekh zara pani mein
maiñ ne jab us se kahā dekh zarā paanī meñ
ik gul-e-tāza kañval khilne lagā paanī meñ
kāġhazī kashtī pe ik ḳhvāb rakhā ek diyā
aur ik ism paḌhā chhoḌ diyā paanī meñ
ek darvesh sar-e-āb-e-ravāñ guzrā thā
aaj tak DhūñD rahā huuñ kaf-e-pā paanī meñ
pahle maiñ chaltā rahā der talak chaltā rahā
phir mirā ashk girā phir maiñ girā paanī meñ
sar paTaḳhte hue dariyā ko jo dekhā to lagā
koī aaseb hai yā koī balā paanī meñ
ek sailāb umaD aaya tirī yādoñ kā
aur maiñ der talak bahtā rahā paanī meñ
aise raushan hai mirī aañkh meñ ik ḳhvāb-e-hasīñ
jhilmilātā ho koī jaise diyā paanī meñ
maiñ tazādāt ke gaare se banā huuñ 'ahmad'
ḳhaak meñ rakkhā gayā aag huā paanī meñ
main ne jab us se kaha dekh zara pani mein
ek gul-e-taza kanwal khilne laga pani mein
kaghazi kashti pe ek KHwab rakha ek diya
aur ek ism paDha chhoD diya pani mein
ek darwesh sar-e-ab-e-rawan guzra tha
aaj tak DhunD raha hun kaf-e-pa pani mein
pahle main chalta raha der talak chalta raha
phir mera ashk gira phir main gira pani mein
sar paTaKHte hue dariya ko jo dekha to laga
koi aaseb hai ya koi bala pani mein
ek sailab umaD aaya teri yaadon ka
aur main der talak bahta raha pani mein
aise raushan hai meri aankh mein ek KHwab-e-hasin
jhilmilata ho koi jaise diya pani mein
main tazadat ke gare se bana hun 'ahmad'
KHak mein rakkha gaya aag hua pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.