maine jis ko bhulaya hua hai
maiñ ne jis ko bhulāyā huā hai
vo mujhe yaad aayā huā hai
ye sitāre kahāñ jā rahe haiñ
āsmāñ saTpaTāyā huā hai
aise hairat se mat dekh dil ko
dil ne ye ġham bhī khāyā huā hai
mujh se pūchho vo kyoñ muztarib hai
us ne mujh ko batāyā huā hai
jo ye kahtā hai sab ban gayā ḳhud
us ne ḳhud ko banāyā huā hai
tū mujhe DhūñDtā hī rahegā
tū ne ḳhud ko chhupāyā huā hai
bik ga.ī hai vo tasvīr 'momin'
jis meñ tū muskurāyā huā hai
main ne jis ko bhulaya hua hai
wo mujhe yaad aaya hua hai
ye sitare kahan ja rahe hain
aasman saTpaTaya hua hai
aise hairat se mat dekh dil ko
dil ne ye gham bhi khaya hua hai
mujh se puchho wo kyon muztarib hai
us ne mujh ko bataya hua hai
jo ye kahta hai sab ban gaya KHud
us ne KHud ko banaya hua hai
tu mujhe DhunDta hi rahega
tu ne KHud ko chhupaya hua hai
bik gai hai wo taswir 'momin'
jis mein tu muskuraya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.