maine kab apni wafaon ka sila manga tha
maiñ ne kab apnī vafāoñ kā sila māñgā thā
ik tabassum hī tirā bahr-e-ḳhudā māñgā thā
kyā ḳhabar thī mirī nīñdeñ hī ujaḌ jā.eñgī
maiñ ne kho.e hue ḳhvāboñ kā patā māñgā thā
dast-e-gul-chīñ ne bhī gulshan se vahī phuul chunā
maiñ ne jis gul ke liye dast-e-sabā māñgā thā
shiddat-e-ġham meñ duā kī thī tujhe bhūlne kī
ab bhare zaḳhm to nādim huuñ ye kyā māñgā thā
bas isī baat pe barham hai zamāna mujh se
apne bad-ḳhvāhoñ kā bhī maiñ ne bhalā māñgā thā
ik guzārish bhī na ho paa.ī qubūl us ke huzūr
ġhāliban maiñ ne hī kuchh had se sivā māñgā thā
chūḌiyāñ TūTīñ to zaḳhmoñ se lahū-rañg huī
jis hathelī ne zarā rang-e-hinā māñgā thā
tū ne har ġham se navāzā hai tirā ḳhaas karam
mujh ko to ye bhī nahīñ yaad ki kyā māñgā thā
āfateñ sahne kā yaarā bhī to detā yā-rab
aur to kuchh bhī nahīñ is ke sivā māñgā thā
ye alag baat milā karb-e-musalsal varna
ham ne jo māñgā ba-sad sidq-o-safā māñgā thā
zehn par 'chāñd' phir ik barq sī lahrāne lagī
dil ne maazī ke nihāñ-ḳhānoñ se kyā māñgā thā
main ne kab apni wafaon ka sila manga tha
ek tabassum hi tera bahr-e-KHuda manga tha
kya KHabar thi meri ninden hi ujaD jaengi
main ne khoe hue KHwabon ka pata manga tha
dast-e-gul-chin ne bhi gulshan se wahi phul chuna
main ne jis gul ke liye dast-e-saba manga tha
shiddat-e-gham mein dua ki thi tujhe bhulne ki
ab bhare zaKHm to nadim hun ye kya manga tha
bas isi baat pe barham hai zamana mujh se
apne bad-KHwahon ka bhi main ne bhala manga tha
ek guzarish bhi na ho pai qubul us ke huzur
ghaaliban main ne hi kuchh had se siwa manga tha
chuDiyan TuTin to zaKHmon se lahu-rang hui
jis hatheli ne zara rang-e-hina manga tha
tu ne har gham se nawaza hai tera KHas karam
mujh ko to ye bhi nahin yaad ki kya manga tha
aafaten sahne ka yara bhi to deta ya-rab
aur to kuchh bhi nahin is ke siwa manga tha
ye alag baat mila karb-e-musalsal warna
hum ne jo manga ba-sad sidq-o-safa manga tha
zehn par 'chand' phir ek barq si lahrane lagi
dil ne mazi ke nihan-KHanon se kya manga tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.