maine kab chaha muradon ka safar aisa na ho
maiñ ne kab chāhā murādoñ kā safar aisā na ho
bas mire ehsās ko jiine se Dar aisā na ho
noch Dālūñ maiñ sab apne bāl-o-par aisā na ho
zaḳhm-e-dil aise na hoñ saudā-e-sar aisā na ho
kyā kahūñ maiñ ne to logoñ ko ye kahte bhī sunā
is tarah kā ho ġham-e-dīvār-o-dar aisā na ho
ġhāliban ham sab kī taqdīreñ haiñ bāham munsalik
lekin us sūrat meñ kyā hogā agar aisā na ho
mausamoñ ke saath badlūñ yā na badlūñ kyā karūñ
baat phir aa jaa.e mere zarf par aisā na ho
tajrabe kī raushnī meñ dosto kahtā huuñ maiñ
zindagī se bhī koī nazdīk-tar aisā na ho
main ne kab chaha muradon ka safar aisa na ho
bas mere ehsas ko jine se Dar aisa na ho
noch Dalun main sab apne baal-o-par aisa na ho
zaKHm-e-dil aise na hon sauda-e-sar aisa na ho
kya kahun main ne to logon ko ye kahte bhi suna
is tarah ka ho gham-e-diwar-o-dar aisa na ho
ghaaliban hum sab ki taqdiren hain baham munsalik
lekin us surat mein kya hoga agar aisa na ho
mausamon ke sath badlun ya na badlun kya karun
baat phir aa jae mere zarf par aisa na ho
tajrabe ki raushni mein dosto kahta hun main
zindagi se bhi koi nazdik-tar aisa na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.