maine kabhi nazar na ki dil-kashi-e-hayat par
maiñ ne kabhī nazar na kī dil-kashī-e-hayāt par
merī tamām zindagī un kī jamāliyāt par
mujh ko hayāt ke sivā chāhiye ik ġham-e-hayāt
tab-e-ġham-āfrīñ mirī rah na sakī hayāt par
vo bhī ġhayūr o sharmgīñ dil bhī nazākat-āfrīñ
choT lagī hai baat se baat baḌhī hai baat par
chāñd hai aur chāñdnī husn hai aur husn-e-yār
mere hazār din nisār husn kī ek raat par
husn yahāñ nazar-fareb dard yahāñ jigar-gudāz
haa.e ki miT gayā 'nushūr' jalva-e-be-sabāt par
main ne kabhi nazar na ki dil-kashi-e-hayat par
meri tamam zindagi un ki jamaliyat par
mujh ko hayat ke siwa chahiye ek gham-e-hayat
tab-e-gham-afrin meri rah na saki hayat par
wo bhi ghayur o sharmgin dil bhi nazakat-afrin
choT lagi hai baat se baat baDhi hai baat par
chand hai aur chandni husn hai aur husn-e-yar
mere hazar din nisar husn ki ek raat par
husn yahan nazar-fareb dard yahan jigar-gudaz
hae ki miT gaya 'nushur' jalwa-e-be-sabaat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.