maine kaha ke chand ki raushan misal do
maiñ ne kahā ke chāñd kī raushan misāl do
us ne kahā ke aañkh se chilman haTā ke dekh
maiñ ne kahā ke raat ke āñchal meñ kaun thā
us ne kahā ke zulf pe shabnam girā ke dekh
maiñ ne kahā ke hijr kī shāḳhoñ pe phuul kyuuñ
us ne kahā ke diid kī ḳhushbū milā ke dekh
maiñ ne kahā ke ret ke pahlū meñ kyā chhupā
kahne lage ke dhuup kī chādar bichhā ke dekh
maiñ ne kahā ye mauj se dariyā kā kyā huā
kahne lagī ke siip ke motī meñ aa ke dekh
maiñ ne kahā ke diip ke dāman meñ kyā jalā
us ne kahā ke aah ko dil meñ dabā ke dekh
main ne kaha ke chand ki raushan misal do
us ne kaha ke aankh se chilman haTa ke dekh
main ne kaha ke raat ke aanchal mein kaun tha
us ne kaha ke zulf pe shabnam gira ke dekh
main ne kaha ke hijr ki shaKHon pe phul kyun
us ne kaha ke did ki KHushbu mila ke dekh
main ne kaha ke ret ke pahlu mein kya chhupa
kahne lage ke dhup ki chadar bichha ke dekh
main ne kaha ye mauj se dariya ka kya hua
kahne lagi ke sip ke moti mein aa ke dekh
main ne kaha ke dip ke daman mein kya jala
us ne kaha ke aah ko dil mein daba ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.