maine kaha ki raaz chhupaya na jaega
Interesting Fact
1948
maiñ ne kahā ki raaz chhupāyā na jā.egā
bole kisī se muñh bhī lagāyā na jā.egā
ho ek do ghaḌī kā to ham jī pe sah bhī leñ
āThoñ pahar kā ġham to uThāyā na jā.egā
is nā-murād dil ne ye Thānī hai ai ḳhayāl
soī mohabbatoñ ko jagāyā na jā.egā
har ġhuncha dil-girafta huā sun ke merī baat
chhoḌo bhī ab vo qissa sunāyā na jā.egā
kis bhārī dil se jaate haiñ ham us ke dar pe aaj
sar jhuk gayā vahāñ to uThāyā na jā.egā
kis kī nazar ke kāñTe pe tultā hai barg-e-gul
tere subuk laboñ se batāyā na jā.egā
har laala us chaman kā hai be-dāġh aarzū
shabnam se ye charāġh jalāyā na jā.egā
'mas.ū' bāġh-e-hind meñ kyā aa ga.ī bahār
ham se to is bahār meñ gaayā na jā.egā
main ne kaha ki raaz chhupaya na jaega
bole kisi se munh bhi lagaya na jaega
ho ek do ghaDi ka to hum ji pe sah bhi len
aaThon pahar ka gham to uThaya na jaega
is na-murad dil ne ye Thani hai ai KHayal
soi mohabbaton ko jagaya na jaega
har ghuncha dil-girafta hua sun ke meri baat
chhoDo bhi ab wo qissa sunaya na jaega
kis bhaari dil se jate hain hum us ke dar pe aaj
sar jhuk gaya wahan to uThaya na jaega
kis ki nazar ke kanTe pe tulta hai barg-e-gul
tere subuk labon se bataya na jaega
har lala us chaman ka hai be-dagh aarzu
shabnam se ye charagh jalaya na jaega
'masu' bagh-e-hind mein kya aa gai bahaar
hum se to is bahaar mein gaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.