maine kaha ki shahr mein ek charagh bhi nahin
maiñ ne kahā ki shahr meñ ek charāġh bhī nahīñ
us ne kahā ki zaḳhm bhī kyā nahīñ daaġh bhī nahīñ
maiñ ne kahā ki āḳhirash mujh ko ḳhudā na mil sakā
us ne kahā ki mere paas apnā surāġh bhī nahīñ
maiñ ne kahā ki āshiqī us ne kahā ki haa.e haa.e
ab vo umang bhī kahāñ ab vo farāġh bhī nahīñ
maiñ ne kahā ki gul-farosh saare gulāb le ga.e
us ne kahā ki kal talak dekhiye baaġh bhī nahīñ
maiñ ne kahā ki 'shahryār' aap se kuchh malūl haiñ
us ne kahā ki Thiik hai mujh ko dimāġh bhī nahīñ
main ne kaha ki shahr mein ek charagh bhi nahin
us ne kaha ki zaKHm bhi kya nahin dagh bhi nahin
main ne kaha ki aaKHirash mujh ko KHuda na mil saka
us ne kaha ki mere pas apna suragh bhi nahin
main ne kaha ki aashiqi us ne kaha ki hae hae
ab wo umang bhi kahan ab wo faragh bhi nahin
main ne kaha ki gul-farosh sare gulab le gae
us ne kaha ki kal talak dekhiye bagh bhi nahin
main ne kaha ki 'shahryar' aap se kuchh malul hain
us ne kaha ki Thik hai mujh ko dimagh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.