maine kaha tha aaj na jaen ghoDe behad thake hue hain
maiñ ne kahā thā aaj na jaa.eñ ghoḌe behad thake hue haiñ
us ne kahā thā jaanā tai hai dushman pīchhe lage hue haiñ
maiñ ne kahā thā daa.eñ taraf kī ghāTī meñ ham chhup jaate haiñ
us ne kahā thā nā-mumkin hai tīroñ meñ ham ghire hue haiñ
maiñ ne kahā thā ġhaar meñ kāTeñ hijrat-rut kī pahlī rāteñ
us ne kahā thā us ke biloñ meñ saañp aur bichchhū chhupe hue haiñ
maiñ ne kahā thā pyaas ke maare kaalī ret pe mar jā.eñge
us ne kahā thā Thiik hai lekin do mashkīze bhare hue haiñ
maiñ ne kahā thā us se aage chhupne kī kyā sūrat hogī
us ne kahā thā Darte kyuuñ ho aage qil.e bane hue haiñ
maiñ ne kahā thā do hī haiñ ham shahr-e-sitam se jaane vaale
us ne kahā thā bastī meñ kuchh aur bhī sāthī ruke hue haiñ
maiñ ne kahā thā sunte ho tum pīchhe pīchhe aatī Tāpeñ
us ne kahā thā ham bhī ajab haiñ do raahe par ruke hue haiñ
maiñ ne kahā thā ab kyā hogā dushman sar par aa pahuñchā hai
us ne kahā thā ġhaar ke muñh par lākhoñ jaale tane hue haiñ
maiñ ne kahā thā ye to batāo kis kī taraf mehmānī hogī
us ne kahā thā yasrib vaale ik duuje se baḌhe hue haiñ
main ne kaha tha aaj na jaen ghoDe behad thake hue hain
us ne kaha tha jaana tai hai dushman pichhe lage hue hain
main ne kaha tha daen taraf ki ghaTi mein hum chhup jate hain
us ne kaha tha na-mumkin hai tiron mein hum ghire hue hain
main ne kaha tha ghaar mein kaTen hijrat-rut ki pahli raaten
us ne kaha tha us ke bilon mein sanp aur bichchhu chhupe hue hain
main ne kaha tha pyas ke mare kali ret pe mar jaenge
us ne kaha tha Thik hai lekin do mashkize bhare hue hain
main ne kaha tha us se aage chhupne ki kya surat hogi
us ne kaha tha Darte kyun ho aage qile bane hue hain
main ne kaha tha do hi hain hum shahr-e-sitam se jaane wale
us ne kaha tha basti mein kuchh aur bhi sathi ruke hue hain
main ne kaha tha sunte ho tum pichhe pichhe aati Tapen
us ne kaha tha hum bhi ajab hain do rahe par ruke hue hain
main ne kaha tha ab kya hoga dushman sar par aa pahuncha hai
us ne kaha tha ghaar ke munh par lakhon jale tane hue hain
main ne kaha tha ye to batao kis ki taraf mehmani hogi
us ne kaha tha yasrib wale ek duje se baDhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.