maine kaha tha sahib-e-kirdar nahin hai
maine kaha tha sahib-e-kirdar nahin hai
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
maiñ ne kahā thā sāhib-e-kirdār nahīñ hai
masnad-nashīñ hai sāhib-e-dastār nahīñ hai
ḳhvāhish ke bhañvar meñ use rahnā hai musalsal
hāsil kī ḳhushī meñ jo bhī sarshār nahīñ hai
har chiiz meñ qudrat ke mazāhir kā hai jalva
duniyā meñ koī chiiz bhī be-kār nahīñ hai
ye dast-e-masīhā ko 'atā kartā hai nairang
zanjīr meñ jakḌā huā bīmār nahīñ hai
jamhūr to bātil kī himāyat meñ hai 'zamzam'
jamhūr se sardār ho me'yār nahīñ hai
main ne kaha tha sahib-e-kirdar nahin hai
masnad-nashin hai sahib-e-dastar nahin hai
KHwahish ke bhanwar mein use rahna hai musalsal
hasil ki KHushi mein jo bhi sarshaar nahin hai
har chiz mein qudrat ke mazahir ka hai jalwa
duniya mein koi chiz bhi be-kar nahin hai
ye dast-e-masiha ko 'ata karta hai nairang
zanjir mein jakDa hua bimar nahin hai
jamhur to baatil ki himayat mein hai 'zamzam'
jamhur se sardar ho me'yar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.