maine KHud ko jo hai kiya KHamosh
maiñ ne ḳhud ko jo hai kiyā ḳhāmosh
dard bhī ho gayā mirā ḳhāmosh
jab mire paañv meñ thakan na milī
ho gayā merā rāsta ḳhāmosh
de rahī thī sadā mohabbat kī
ho ga.ī hai vahī sabā ḳhāmosh
us ko saare javāb milte the
maiñ savāloñ pe jab rahā ḳhāmosh
zor tūfāñ ne sab lagā Daalā
par huā na mirā diyā ḳhāmosh
bolnā maiñ bhī chāhtā thā magar
kuchh zabānoñ ne kar diyā ḳhāmosh
maut kī kyā use zarūrat hai
ab to 'irfān' ho gayā ḳhāmosh
main ne KHud ko jo hai kiya KHamosh
dard bhi ho gaya mera KHamosh
jab mere panw mein thakan na mili
ho gaya mera rasta KHamosh
de rahi thi sada mohabbat ki
ho gai hai wahi saba KHamosh
us ko sare jawab milte the
main sawalon pe jab raha KHamosh
zor tufan ne sab laga Dala
par hua na mera diya KHamosh
bolna main bhi chahta tha magar
kuchh zabanon ne kar diya KHamosh
maut ki kya use zarurat hai
ab to 'irfan' ho gaya KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.