maine KHud pinjre ki khiDki kholi hai
maiñ ne ḳhud pinjre kī khiḌkī kholī hai
chiḌiyā apne aap kahāñ kuchh bolī hai
sūraj ne jañgal meñ Dere Daale haiñ
patjhaḌ ne bhī khelī āñkh-micholī hai
yuuñ bāheñ phailā.e miltī hai aa kar
bārish jaise miTTī kī ham-jolī hai
haa.e tashaḳhḳhus kī maarī is duniyā meñ
sab kī apnī riitī apnī bolī hai
diip jalā.e rasta taktī rahtī huuñ
vo aa.e to iid divālī holī hai
us kā lahja raat kī raanī ke jaisā
uf us ne ye kaisī ḳhushbū gholī hai
kaisī girānī hai izzat kī roTī meñ
is se sastī ik bandūq kī golī hai
pūchh rahī hai apnī maañ se ik beTī
byaah ke ma.anī zevar lahñgā cholī hai
kab se le kar aas karam kī yā-allāh
tere dar pe apnī phailī jholī hai
ḳhud-ġharzī ke daur meñ 'sīmā' rishtoñ se
ummīdeñ rakhtī hai kitnī bholī hai
main ne KHud pinjre ki khiDki kholi hai
chiDiya apne aap kahan kuchh boli hai
suraj ne jangal mein Dere Dale hain
patjhaD ne bhi kheli aankh-micholi hai
yun bahen phailae milti hai aa kar
barish jaise miTTi ki ham-joli hai
hae tashaKHKHus ki mari is duniya mein
sab ki apni riti apni boli hai
dip jalae rasta takti rahti hun
wo aae to id diwali holi hai
us ka lahja raat ki rani ke jaisa
uf us ne ye kaisi KHushbu gholi hai
kaisi girani hai izzat ki roTi mein
is se sasti ek banduq ki goli hai
puchh rahi hai apni man se ek beTi
byah ke mani zewar lahnga choli hai
kab se le kar aas karam ki ya-allah
tere dar pe apni phaili jholi hai
KHud-gharzi ke daur mein 'sima' rishton se
ummiden rakhti hai kitni bholi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.