maine khul kar nahin KHamosh mohabbat ki hai
maiñ ne khul kar nahīñ ḳhāmosh mohabbat kī hai
sach to ye hai tirī izzat kī hifāzat kī hai
maiñ bhalā kaise tire saath baġhāvat kartā
mujh pe sādāt ke purkhoñ ne imāmat kī hai
sāhab-e-dīn ko fatve kī na kyuuñ kar sūjhe
aaj darvesh ne masjid meñ ibādat kī hai
ye zamīñ kyoñ na phaTe aur falak zard na ho
ek mazdūr ne allāh se shikāyat kī hai
zulm sah kar bhī baġhāvat kā nahīñ sochā maiñ ne
hausla dekh ki hākim kī itā.at kī hai
main ne khul kar nahin KHamosh mohabbat ki hai
sach to ye hai teri izzat ki hifazat ki hai
main bhala kaise tere sath baghawat karta
mujh pe sadat ke purkhon ne imamat ki hai
sahab-e-din ko fatwe ki na kyun kar sujhe
aaj darwesh ne masjid mein ibaadat ki hai
ye zamin kyon na phaTe aur falak zard na ho
ek mazdur ne allah se shikayat ki hai
zulm sah kar bhi baghawat ka nahin socha main ne
hausla dekh ki hakim ki itaat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.