maine kuchh ashaar junhi aaine par dam kiye
maiñ ne kuchh ash.ār jūñhī aa.ine par dam kiye
aks terā lā dikhāyā us ne sar ko ḳham kiye
kī samā.at kī tavāzo.a is madhur āvāz se
rizq-e-bīnā.ī usī paikar ke zer-o-bam kiye
muhr hoñToñ se lagā.ī is zamīn-e-husn par
apne qabze is zamīñ par aur mustahkam kiye
jaan Daalī tazkira-e-yār se alfāz meñ
sīdhe-sāde sher us ke zikr se mub.ham kiye
raat guzrī maḳhmalī hāthoñ ke takiye par mirī
shukr hai maulā mayassar tū ne ye resham kiye
sub.h-e-vasl us kī chahak se guuñj uTThe bām-o-dar
boltī thī pahle jo āvāz ko maddham kiye
bah rahā thā lams kā dariyā guzashta shab 'qamar'
ḳhuub ham ne bhī masām-e-jism us se nam kiye
main ne kuchh ashaar junhi aaine par dam kiye
aks tera la dikhaya us ne sar ko KHam kiye
ki samaat ki tawazoa is madhur aawaz se
rizq-e-binai usi paikar ke zer-o-bam kiye
muhr honTon se lagai is zamin-e-husn par
apne qabze is zamin par aur mustahkam kiye
jaan Dali tazkira-e-yar se alfaz mein
sidhe-sade sher us ke zikr se mubham kiye
raat guzri maKHmali hathon ke takiye par meri
shukr hai maula mayassar tu ne ye resham kiye
subh-e-wasl us ki chahak se gunj uTThe baam-o-dar
bolti thi pahle jo aawaz ko maddham kiye
bah raha tha lams ka dariya guzashta shab 'qamar'
KHub hum ne bhi masam-e-jism us se nam kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.