maine lafzon mein jo nami ki hai
maiñ ne lafzoñ meñ jo namī kī hai
ro na paayā to shā'irī kī hai
mujh ko kyā kartī zindagī barbād
maiñ ne barbād zindagī kī hai
kaisī qismat hai merī qismat kī
maiñ ne naukar kī naukrī kī hai
maiñ ne maanā nahīñ burā lekin
baat to aap ne burī kī hai
tum kahīñ aur baiTh lo jā kar
ye jagah to 'shafīq' jī kī hai
main ne lafzon mein jo nami ki hai
ro na paya to sha'iri ki hai
mujh ko kya karti zindagi barbaad
main ne barbaad zindagi ki hai
kaisi qismat hai meri qismat ki
main ne naukar ki naukri ki hai
main ne mana nahin bura lekin
baat to aap ne buri ki hai
tum kahin aur baiTh lo ja kar
ye jagah to 'shafiq' ji ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.