maine mana ek na ek din lauT ke tu aa jaega
maiñ ne maanā ek na ik din lauT ke tū aa jā.egā
lekin tujh bin umr jo guzrī kaun use lauTā.egā
hijr ke sadme us kā taġhāful bāteñ haiñ sab kahne kī
kuchh bhī na mujh ko yaad rahegā jab vo gale lag jā.egā
ḳhvāb-e-vafā āñkhoñ meñ basā.e phirtā hai kyā dīvāne
ta.abīreñ pathrāv kareñgī jab tū ḳhvāb sunā.egā
kitnī yādeñ kitne qisse naqsh haiñ in dīvāroñ par
chalte chalte dekh leñ muḌ kar kaun yahāñ phir aa.egā
bād-e-bahārī itnā batā de sāda-dilān-e-mausam ko
sarf-e-chaman jo ḳhuun huā hai rañg vo kab tak lā.egā
main ne mana ek na ek din lauT ke tu aa jaega
lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lauTaega
hijr ke sadme us ka taghaful baaten hain sab kahne ki
kuchh bhi na mujh ko yaad rahega jab wo gale lag jaega
KHwab-e-wafa aankhon mein basae phirta hai kya diwane
tabiren pathraw karengi jab tu KHwab sunaega
kitni yaaden kitne qisse naqsh hain in diwaron par
chalte chalte dekh len muD kar kaun yahan phir aaega
baad-e-bahaari itna bata de sada-dilan-e-mausam ko
sarf-e-chaman jo KHun hua hai rang wo kab tak laega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.