maine mana ki mulaqat nahin ho sakti
maiñ ne maanā ki mulāqāt nahīñ ho saktī
to kyā ab tum se koī baat nahīñ ho saktī
dil meñ raushan haiñ mirī jaañ tirī yādoñ ke charāġh
shahr-e-ulfat meñ kabhī raat nahīñ ho saktī
bātin-e-qalb-o-jigar meñ hī basā le mujh ko
zāhiran gar tū mire saath nahīñ ho saktī
is kā sheva hai mohabbat meñ baġhāvat karnā
mo'atabar us kī kabhī zaat nahīñ ho saktī
ishq kā khel bhī ye soch ke maiñ haar gayā
sachche āshiq kī kabhī maat nahīñ ho saktī
main ne mana ki mulaqat nahin ho sakti
to kya ab tum se koi baat nahin ho sakti
dil mein raushan hain meri jaan teri yaadon ke charagh
shahr-e-ulfat mein kabhi raat nahin ho sakti
baatin-e-qalb-o-jigar mein hi basa le mujh ko
zahiran gar tu mere sath nahin ho sakti
is ka shewa hai mohabbat mein baghawat karna
mo'atabar us ki kabhi zat nahin ho sakti
ishq ka khel bhi ye soch ke main haar gaya
sachche aashiq ki kabhi mat nahin ho sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.