maine mehndi se likha hai nam tera hath par
maiñ ne mehñdī se likhā hai naam terā haath par
chāñd ko sharmā gayā hai naam terā haath par
chāñd sā tū bhī chamaktā chāñd kī is raat meñ
ye muqaddar kī atā hai naam terā haath par
ab miTā saktā hai koī to miTā kar dekh le
ham ne aisā likh diyā hai naam terā haath par
aur koī chhab koī manzar bhalā lagtā nahīñ
dekhnā sab se bhalā hai naam terā haath par
is ko dhuñdlāne nahīñ denā 'duā' taaza sadā
rakhnā dil kā mashġhala hai naam terā haath par
main ne mehndi se likha hai nam tera hath par
chand ko sharma gaya hai nam tera hath par
chand sa tu bhi chamakta chand ki is raat mein
ye muqaddar ki ata hai nam tera hath par
ab miTa sakta hai koi to miTa kar dekh le
hum ne aisa likh diya hai nam tera hath par
aur koi chhab koi manzar bhala lagta nahin
dekhna sab se bhala hai nam tera hath par
is ko dhundlane nahin dena 'dua' taza sada
rakhna dil ka mashghala hai nam tera hath par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.