maine rishton se na baDh kar kabhi paisa samjha
maine rishton se na baDh kar kabhi paisa samjha
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
maiñ ne rishtoñ se na baḌh kar kabhī paisa samjhā
tū ne paisoñ se na baḌh kar kabhī rishta samjhā
baap samjhā to kisī ne mujhe daadā samjhā
maañ ne lekin mujhe har haal meñ bachcha samjhā
pyaar thā jis meñ usī aañkh ne ḳhūbī dekhī
varna duniyā ne na jaane mujhe kyā kyā samjhā
har galī chauk pe royā maiñ ġham-e-dil ke sabab
mire jazbāt ko samjhā to parinda samjhā
dekhte dekhte vo ho gayā sach kā qātil
maiñ ne jis shaḳhs ko har haal maiñ sachchā samjhā
ghar ke andar ka.ī afrād siyāsat-dāñ the
bhaa.ī beTā na samajh kar mujhe mohara samjhā
us kī kyoñ sāda-mizājī pe na mar jā.ūñ 'sa.ūd'
kam bhī paayā to use us ne ziyāda samjhā
main ne rishton se na baDh kar kabhi paisa samjha
tu ne paison se na baDh kar kabhi rishta samjha
bap samjha to kisi ne mujhe dada samjha
man ne lekin mujhe har haal mein bachcha samjha
pyar tha jis mein usi aankh ne KHubi dekhi
warna duniya ne na jaane mujhe kya kya samjha
har gali chauk pe roya main gham-e-dil ke sabab
mere jazbaat ko samjha to parinda samjha
dekhte dekhte wo ho gaya sach ka qatil
main ne jis shaKHs ko har haal main sachcha samjha
ghar ke andar kai afrad siyasat-dan the
bhai beTa na samajh kar mujhe mohara samjha
us ki kyon sada-mizaji pe na mar jaun 'saud'
kam bhi paya to use us ne ziyaada samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.