maine sanson se guftugu ki hai
maiñ ne sāñsoñ se guftugū kī hai
saath chalne kī aarzū kī hai
gum-shuda vaqt ke musāfir ko
phir se paane kī justujū kī hai
zañg-ḳhurda hayāt kā kyā zikr
baat lamhoñ kī aabrū kī hai
ḳhud meñ ḳhud ko talāsh karne kī
maiñ ne koshish chahār-sū kī hai
main ne sanson se guftugu ki hai
sath chalne ki aarzu ki hai
gum-shuda waqt ke musafir ko
phir se pane ki justuju ki hai
zang-KHurda hayat ka kya zikr
baat lamhon ki aabru ki hai
KHud mein KHud ko talash karne ki
main ne koshish chahaar-su ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.