maine tamam umr ka KHaka nigal liya
maiñ ne tamām 'umr kā ḳhāka nigal liyā
do pal kī bhāg-dauḌ meñ rastā nigal liyā
rūheñ badan kī qaid meñ yuuñ ho rahīñ fanā
jaise kī garm ret ne dariyā nigal liyā
āġhosh meñ chhupā ke hameñ pūchhtī hai vo
sūraj ne kaise chāñd kā hissa nigal liyā
āñkheñ nichoḌne se bhī aañsū nahīñ girā
kuchh is tarah se aap kā sadma nigal liyā
main ne tamam 'umr ka KHaka nigal liya
do pal ki bhag-dauD mein rasta nigal liya
ruhen badan ki qaid mein yun ho rahin fana
jaise ki garm ret ne dariya nigal liya
aaghosh mein chhupa ke hamein puchhti hai wo
suraj ne kaise chand ka hissa nigal liya
aankhen nichoDne se bhi aansu nahin gira
kuchh is tarah se aap ka sadma nigal liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.