maine to kabhi usko musalsal nahin dekha
maiñ ne to kabhī us ko musalsal nahīñ dekhā
chehra bhī kabhī us kā mukammal nahīñ dekhā
āñkhoñ ke nashe se mujhe fursat hī nahīñ thī
bas is liye maiñ ne kabhī kājal nahīñ dekhā
mazdūr giraftār hai fāqoñ ke jahāñ meñ
aisoñ ne kabhī sabr kā vo phal nahīñ dekhā
vājib thī mirī rāh-e-mohabbat meñ vo Thokar
maiñ ne kabhī raste meñ jo signal nahīñ dekhā
yār-e-dil-e-'rahmān' junūñ se Darā hai bas
us ne yahāñ mujh sā koī pāgal nahīñ dekhā
main ne to kabhi us ko musalsal nahin dekha
chehra bhi kabhi us ka mukammal nahin dekha
aankhon ke nashe se mujhe fursat hi nahin thi
bas is liye main ne kabhi kajal nahin dekha
mazdur giraftar hai faqon ke jahan mein
aison ne kabhi sabr ka wo phal nahin dekha
wajib thi meri rah-e-mohabbat mein wo Thokar
main ne kabhi raste mein jo signal nahin dekha
yar-e-dil-e-'rahman' junun se Dara hai bas
us ne yahan mujh sa koi pagal nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.