maine to sirf manga hai utna duaon mein
maiñ ne to sirf māñgā hai utnā duāoñ meñ
zanjīr hī paḌī rahe lālach ke paañv meñ
ḳhākī butoñ meñ qaid na kar apne ishq ko
uḌne de is parinde ko chāroñ dishāoñ meñ
vo pur-asar sadā hai jo āvāz-e-ḳhalq hai
varna to sirf shor bharā hai sadāoñ meñ
duniyā simaT rahī hai ki tafrīh ke liye
ā.inda log jaayā kareñge ḳhalāoñ meñ
terī talāsh le ke ga.ī hai kahāñ kahāñ
patthar ke shahr meñ kabhī ulfat ke gaañv meñ
hotī rahī hayāt lagātār muntaqil
zaḳhmoñ kī dhuup meñ kabhī zulfoñ kī chhāñv meñ
insāniyat kī saañs ukhaḌ ne lagī hai ab
nafrat kā zahr gholā gayā hai havāoñ meñ
mumkin kī had se duur na le jaa.e āsthā
zanjīr Daale rakhnā sadā is ke paañv meñ
bas is liye ki chūlhe se uThtā rahe dhuāñ
mazdūr jal rahā hai thakan kī chitāoñ meñ
kaise banā.eñ jhuuT ko ham aur pur-kashish
charchā ye ho rahā hai siyāsī sabhāoñ meñ
main ne to sirf manga hai utna duaon mein
zanjir hi paDi rahe lalach ke panw mein
KHaki buton mein qaid na kar apne ishq ko
uDne de is parinde ko chaaron dishaon mein
wo pur-asar sada hai jo aawaz-e-KHalq hai
warna to sirf shor bhara hai sadaon mein
duniya simaT rahi hai ki tafrih ke liye
aainda log jaya karenge KHalaon mein
teri talash le ke gai hai kahan kahan
patthar ke shahr mein kabhi ulfat ke ganw mein
hoti rahi hayat lagatar muntaqil
zaKHmon ki dhup mein kabhi zulfon ki chhanw mein
insaniyat ki sans ukhaD ne lagi hai ab
nafrat ka zahr ghola gaya hai hawaon mein
mumkin ki had se dur na le jae aastha
zanjir Dale rakhna sada is ke panw mein
bas is liye ki chulhe se uThta rahe dhuan
mazdur jal raha hai thakan ki chitaon mein
kaise banaen jhuT ko hum aur pur-kashish
charcha ye ho raha hai siyasi sabhaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.