maine tujhko chaha bahut tha
maiñ ne tujh ko chāhā bahut thā
par kahne se Dartā bahut thā
chāñd nagar ab yaad nahīñ hai
jab dekhā thā bachcha bahut thā
guḌiyā guDDe khel khilaune
bachpan merā achchhā bahut thā
tujh se bichhaḌ kar dil dīvāna
yaad hai mujh ko royā bahut thā
haath baḌhā kar chhūnā chāhā
nīl-gagan to ūñchā bahut thā
main ne tujh ko chaha bahut tha
par kahne se Darta bahut tha
chand nagar ab yaad nahin hai
jab dekha tha bachcha bahut tha
guDiya guDDe khel khilaune
bachpan mera achchha bahut tha
tujh se bichhaD kar dil diwana
yaad hai mujh ko roya bahut tha
hath baDha kar chhuna chaha
nil-gagan to uncha bahut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.