maine tujhko khoya tha maine tujhko paya hai
maiñ ne tujh ko khoyā thā maiñ ne tujh ko paayā hai
vo bhī ek dhoka thā ye bhī ek dhoka hai
baiThe shīsh-mahloñ meñ tum samajh na pāoge
ḳhaar kaise paañv meñ dard ban ke chubhtā hai
duur ho nigāhoñ se paas ho rag-e-jāñ ke
dil kā dil se rishta hai is meñ mo.ajiza kyā hai
asl zindagī hai kyā kyā khule ki tum ne to
saañs kī kasauTī par zindagī ko parkhā hai
ḳhuun ārzūoñ kā ghul gayā na ho 'sharqī'
sub.h-e-nau ke māthe par ahmarīñ ujālā hai
main ne tujh ko khoya tha main ne tujh ko paya hai
wo bhi ek dhoka tha ye bhi ek dhoka hai
baiThe shish-mahlon mein tum samajh na paoge
KHar kaise panw mein dard ban ke chubhta hai
dur ho nigahon se pas ho rag-e-jaan ke
dil ka dil se rishta hai is mein moajiza kya hai
asl zindagi hai kya kya khule ki tum ne to
sans ki kasauTi par zindagi ko parkha hai
KHun aarzuon ka ghul gaya na ho 'sharqi'
subh-e-nau ke mathe par ahmarin ujala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.