maine tumko kya samjha hai aisa tumne socha kya
maine tumko kya samjha hai aisa tumne socha kya
Saadullah Khan Asar Malkapur
MORE BYSaadullah Khan Asar Malkapur
maiñ ne tum ko kyā samjhā hai aisā tum ne sochā kyā
tum kaise ho tum kyā kyā ho ā.īna bhī dekhā kyā
mujh se behtar hoñge lākhoñ maiñ lākhoñ meñ behtar huuñ
is uljhan meñ paḌnā bhī kyā is uljhan meñ rakkhā kyā
mandir masjid banñā girnā sab matlab kī bāteñ haiñ
donoñ hī allāh ke ghar haiñ kaun batā.e achchhā kyā
kab tak jhūTī aas pe jī ke dil ke phaphūle phoḌegā
ḳhuddārī ko bechne vaale āḳhir terā hogā kyā
ham ne maanā bastī bastī aaj 'asar' kā charchā hai
us bādal kā zikr na kiije jo garjā vo barsā kyā
main ne tum ko kya samjha hai aisa tum ne socha kya
tum kaise ho tum kya kya ho aaina bhi dekha kya
mujh se behtar honge lakhon main lakhon mein behtar hun
is uljhan mein paDna bhi kya is uljhan mein rakkha kya
mandir masjid banna girna sab matlab ki baaten hain
donon hi allah ke ghar hain kaun batae achchha kya
kab tak jhuTi aas pe ji ke dil ke phaphule phoDega
KHuddari ko bechne wale aaKHir tera hoga kya
hum ne mana basti basti aaj 'asar' ka charcha hai
us baadal ka zikr na kije jo garja wo barsa kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.